ye ek shan-e-KHuda hai main nahin hun

By azad-ansariOctober 27, 2020
ye ek shan-e-khuda hai main nahin hun
wahi jalwa-numa hai main nahin hun
zamana pahle mujh ko dhundta hai
magar tera pata hai main nahin hun


tere hote meri hasti ka kya zikr
yahi kahna baja hai main nahin hun
sada-e-nahno-aqrab kah rahi hai
ki tu mujh se juda hai main nahin hun


wo khud tashrif-farma-e-jahan hain
tumhein dhoka hua hai main nahin hun
kahan main aur kahan khabt-e-anal-haq
koi mere siwa hai main nahin hun


mujhe 'azad' duniya kyun na puje
kisi ka naqsh-e-pa hai main nahin hun
70799 viewsghazalEnglish