ye ek tera jalwa sanam chaar su hai nazar jis taraf kijiye tu hi tu hai ye kis mast ke aane ki aarzu hai ki dast-e-dua aaj dast-e-subu hai na hoga koi mujh sa mahw-e-tasawwur jise dekhta hun samajhta hun tu hai mukaddar na ho yar to saf kah dun na kyunkar ho khud-bin ki aaina-ru hai kabhi rukh ki baaten kabhi gesuon ki sahar se yahi sham tak guftugu hai kisi gul ke kuche se guzri hai shayad saba aaj jo tujh mein phulon ki bu hai nahin chaak-daman koi mujh sa 'goya' na bakhiya ki khwahish na fikr-e-rafu hai