ye ghalat hai ye sal Thik nahin

By imran-shamshadOctober 31, 2020
ye ghalat hai ye sal thik nahin
har ghadi ka malal thik nahin
zindagi ek khayal-khana hai
aap ka ye khayal thik nahin


phul ko dhul ki zarurat hai
is qadar dekh-bhaal thik nahin
girne wale ne sar utha ke kaha
in sitaron ki chaal thik nahin


aaina-saz thik kahta hai
shishagar ki misal thik nahin
sath chalte raho magar khamosh
is safar mein sawal thik nahin


aap ke nakhunon se yaad aaya
mere zakhmon ka haal thik nahin
itni chhoti si baat par 'imrran'
itna gahra malal thik nahin


48106 viewsghazalEnglish