ye hansi-KHushi ka mausam ye bahaar ka zamana
By kaleem-aajizJanuary 3, 2024
ye hansi-khushi ka mausam ye bahaar ka zamana
tere waste haqiqat mere waste fasana
na sanbhal sakegi tujh se teri zulf-e-ta-ba-shana
main abhi se dekhta hun jo dikhaega zamana
jo teri zaban se nikla wahi ban gaya fasana
mere dil ki dhadkanon se raha be-khabar zamana
meri khanuman-kharabi ka jahan mein hai fasana
ye wo hadisa hai jis ko na bhula saka zamana
main nigah-e-baghban mein koi aur ho gaya hun
abhi chaar din hue hain ki jala hai aashiyana
tujhe ai gham-e-mohabbat idhar aa gale laga lun
na tera kahin guzar hai na mera kahin thikana
main hun wo gharib 'ajiz' ki gulon ki anjuman mein
mere pairahan ke tukdon ka bana hai shamiyana

44513 viewsghazal • English