ye hijr ka rasta hai dhalanen nahin hotin sahra mein charaghon ki dukanen nahin hotin khushbu ka ye jhonka abhi aaya hai udhar se kis ne kaha sahra mein azanen nahin hotin kya marte hue log ye insan nahin hain kya hanste hue phulon mein jaanen nahin hotin ab koi ghazal-chehra dikhai nahin deta ab shahr mein abru ki kamanen nahin hotin in par kisi mausam ka asar kyun nahin hota radd kyun teri yaadon ki udanen nahin hotin ye sher hai chhup kar kabhi hamla nahin karta maidani ilaqon mein machanen nahin hotin kuchh baat thi jo lab nahin khulte the hamare tum samjhe the gungon ke zabanen nahin hotin