ye hijraton ka zamana bhi kya zamana hai

By syed-sarosh-asifJuly 31, 2020
ye hijraton ka zamana bhi kya zamana hai
unhin se dur hain jin ke liye kamana hai
khushi ye hai ki mere ghar se phone aaya hai
sitam ye hai ki mujhe khairiyat batana hai


hamein ye baat bahut der mein samajh aai
wahin to jal bichha hai jahan bhi dana hai
hamein jala nahin sakti hai dhup hijrat ki
hamare sar pe zarurat ka shamiyana hai


namaz eid ki padh kar main dhundhta hi raha
kahin dikhe koi apna gale lagana hai
wahin wahin liye phirti hai gardish-e-dauran
jahan jahan bhi likha mera aab-o-dana hai


22008 viewsghazalEnglish