ye husn aaya hai jab se hamari basti mein
By farhat-ehsasFebruary 6, 2024
ye husn aaya hai jab se hamari basti mein
har ek 'aql nazar aa rahi hai masti mein
tabhi to mere junun par dabish nahin aati
main shahr mein bhi hun sahra ki sarparasti mein
ye meri fath ka e'lan kaise hone laga
tamam 'umr to guzri hai khud-shikasti mein
hum apne chaak pe masruf rahne lagte hain
'ajab karamaten hoti hain tang-dasti mein
hawa-e-rahguzar par farefta bhi hai dil
sukun bhi dhundhta rahta hai ghar-grihasti mein
suna hai dasht ko wapas gae janab 'ehsas'
mulazmat se subuk-dosh ho ke basti mein

39378 viewsghazal • English