ye ibaadat hai alag ishq ke meyar alag
By farooq-noorFebruary 6, 2024
ye 'ibaadat hai alag 'ishq ke me'yar alag
tere diwane alag tere parastar alag
us ke didar se bharta hi nahin dil apna
jab bhi dekho use lagta hai wo har bar alag
jis mein aai thi khabar aap ke laut aane ki
main ne rakkha hai abhi tak ke wo akhbar alag
ek zara baat pe rishton ke bharam tut gae
ho gae dar bhi alag ho gai diwar alag
dil ki bechaini ko aaram na mil paya kahin
ho ke us yar se dekha hai kai bar alag
hum bhi yusuf the to kam dam mein bikte kaise
apna bazar alag apne kharidar alag

78425 viewsghazal • English