ye iqamat hamein paigham-e-safar deti hai zindagi maut ke aane ki khabar deti hai zal-e-duniya hai ajab tarah ki allama-e-dahr mard-e-din-dar ko bhi dahriya kar deti hai badhti jati hai jo mashq-e-sitam us zalim ki kuchh mohabbat meri islah magar deti hai faeda de tere bimar ko kya khak dawa ab to iksir bhi dije to zarar deti hai shama ghabra na shab-e-gham se ki koi dam mein tujh ko kafur-e-safedi-e-sahar deti hai ghuncha hansta hai tere aage jo gustakhi se chatkhana munh pe wahin baad-e-sahar deti hai shama bhi kam nahin kuchh ishq mein parwane se jaan deta hai agar wo to ye sar deti hai dam-ba-dam zakhm pe ek zakhm hai dam lene ki mujh ko fursat nahin wo tegh-e-nazar deti hai kahte sunte nahin kuchh hum to shab-e-hijr mein par nala-e-dil ka jawab aah-e-jigar deti hai tira-bakhti meri karti hai pareshan mujh ko tohmat is zulf-e-siyah-fam pe dhar deti hai nakhl-e-mizhgan se hai kya jaaniye kya chashm-e-samar chashm pani ki jagah khun-e-jigar deti hai deti sharbat hai kise zahr bhari aankh teri ain ehsan hai wo zahr bhi gar deti hai koi ghammaz nahin meri taraf se ai 'zauq' kan us ke meri fariyaad hi bhar deti hai