ye jo dhuan dhuan sa hai dasht-e-guman ke aas-pas

By ahmad-mahfuzOctober 23, 2020
ye jo dhuan dhuan sa hai dasht-e-guman ke aas-pas
kya koi aag bujh gai sarhad-e-jaan ke aas-pas
shor-e-hawa-e-sham-e-gham yun to kahan kahan nahin
suniye to bas sunai de dard-e-nihan ke aas-pas


bujh gae kya charagh sab ai dil-e-afiyat-talab
kab se bhatak rahe hain hum ku-e-ziyan ke aas-pas
un ko talash kijiye hum to milenge aap hi
apni bhi ja-e-bash hai gum-shudagan ke aas-pas


sina-e-shab ko chir kar dekho to kya saman hai ab
manzil-e-dil ke samne kucha-e-jaan ke aas-pas
wo bhi ajab sawar tha aaya idhar udhar gaya
pahunchi na meri khak bhi us ki inan ke aas-pas


aalam-e-sard-o-garm ki kya ho bhala unhen khabar
wo jo rahe hain umr bhar shola-rukhan ke aas-pas
47766 viewsghazalEnglish