ye jo hai aashiqi tabarruk hai
By bilal-sabirMarch 1, 2024
ye jo hai 'ashiqi tabarruk hai
aur ye daimi tabarruk hai
ek ne'mat to hain meri aankhen
han par in mein nami tabarruk hai
khatm hogi kisi ke aate hi
ya'ni teri kami tabarruk hai
thodi thodi si di gai sab ko
zindagi ‘alami tabarruk hai
aap kyon bantte hain saj-dhaj kar
bewafai koi tabarruk hai
fikr hai fatiha mera 'sabir'
aur meri sha'iri tabarruk hai
aur ye daimi tabarruk hai
ek ne'mat to hain meri aankhen
han par in mein nami tabarruk hai
khatm hogi kisi ke aate hi
ya'ni teri kami tabarruk hai
thodi thodi si di gai sab ko
zindagi ‘alami tabarruk hai
aap kyon bantte hain saj-dhaj kar
bewafai koi tabarruk hai
fikr hai fatiha mera 'sabir'
aur meri sha'iri tabarruk hai
79013 viewsghazal • English