ye jo har lamha meri sans hai aati jati

ye jo har lamha meri sans hai aati jati
ek tufan hai sine mein uthati jati

maujen uth uth ke tah-e-ab chali jati hain
han magar kis ki hai taswir banati jati

ye shajar jis ke sabab raqs hai karta rahta
kash wo baad-e-saba dil ko nachati jati

bas wahi qimti ek shai jo mera hasil thi
har ghadi pas hi rahti na yun aati jati

kam se kam sang-e-sar-e-rah to hota 'kausar'
aur duniya mujhe thokar bhi lagati jati


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close