ye kafir but jinhen dawa hai duniya mein khudai ka milen mahshar mein mujh aasi ko sadqa kibriyai ka ye mujh se sakht-jaan par shauq khanjar-azmai ka khuda-hafiz mere qatil teri nazuk kalai ka na ho pahlu mein mere dil to koi baat kyun puchhe yahi to ek zariya hai hasinon tak rasai ka tum achchhe ghair achchha ghair ki taqdir bhi achchhi ye aakhir zikr kyun hai meri qismat ki burai ka wo kya soenge ghafil ho ke shab bhar mare pahlu mein unhen ye fikr hai nikle koi pahlu ladai ka hazaron dida-o-dil-e-baam lakhon tur se badh kar karodon jalwa-gahen shauq to ho khud-numai ka qafas mein ab kahan wo imbisat-e-subh-e-azadi chaman tak lutf tha sayyaad meri khush-nawai ka ishaare par tere chal kar ye lae rang mushkil hai abhi mohtaj hai khanjar tere dast-e-hinai ka koi kya jae jannat mein ki us ne tul khincha hai qayamat par bhi saya pad gaya roz-e-judai ka wo din bhi aae hum hon aur galiyan hon madine ki gadayana sada ho hath mein kasa gadai ka banai kya buri gat mai-kade mein baada-noshon ne 'riyaz' aae the kal jama pahan kar parsai ka