ye kah ke aur mera sabr aazmaya gaya

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
ye kah ke aur mera sabr aazmaya gaya
wo rah par tha mujhe raste pe laya gaya
pata tha koi kisi ko nahin manaega
so ikhtilaf ziyaada nahin badhaya gaya


ab is khayal ne ninden haram kar di hain
wo koi tha bhi jise 'umr-bhar bhulaya gaya
kuchh aisi kaifiyat-e-wajd thi ki phir hum se
tamashbin ke liye kuchh nahin bachaya gaya


khayal aaya ki be-chehragi hi achchhi thi
kabhi ye chehra agar kaam mein bhi laya gaya
to jaaniye ki ye sahra ye dasht sab bekar
agar junun ko tamasha nahin banaya gaya


19503 viewsghazalEnglish