ye kahan se mauj-e-tarab uthi ki malal dil se nikal gae wahi subh-o-sham jo the garan nafas-e-bahaar mein dhal gae ye dayar-e-shauq hai ham-nashin yahan laghzishon mein bhi husn hai jo mite wo aur ubhar gae jo gire wo aur sambhal gae hasin zindagi ki talash thi hamein sarkhushi ki talash thi hue zindagi se jo aashna to jarahaton se bahal gae tere sogwaron ki zindagi kabhi mutmain na guzar saki jo bujhi kabhi koi tishnagi kai aur dard machal gae meri aarzuon ke khwab the ki faza-e-husn-o-shabab the kahin nikhaton mein bikhar gae kahin rang-o-nur mein dhal gae unhen rahaton ka khayal hai na saubaton ka malal hai jo teri talash mein chal pade jo teri talab mein nikal gae hai bhari bahaar to kya karun na mile qarar to kya karun mere samne hain wo aashiyan jo bhari bahaar mein jal gae