ye kaisa shahr ka manzar dikhai deta hai

By rizwan-aliFebruary 28, 2024
ye kaisa shahr ka manzar dikhai deta hai
har ek hath mein patthar dikhai deta hai
ye kis gunah ki padash pa rahe hain hum
jo gardishon mein muqaddar dikhai deta hai


kisi ne pyar se kar li hai guftugu shayad
jo us ka chehra munawwar dikhai deta hai
kabhi sharab ko bhi jo haram kahta tha
ab us ke hath mein saghar dikhai deta hai


wafa ka 'ahd nibhane ki kya qasam khai
wo chehra aaj gul-e-tar dikhai deta hai
duba saka na mere aaj ye safine ko
to be-qarar samundar dikhai deta hai


udasiyon ko yahan kaun rakh gaya 'rizwan'
fasurda ab jo har ek ghar dikhai deta hai
52879 viewsghazalEnglish