ye kaise log hain jo maut par israr karte hain

By rashid-hasratFebruary 1, 2022
ye kaise log hain jo maut par israr karte hain
jahan likkha hai aahista wahin raftar karte hain
khalal apne dimaghon ka karen tabir jiddat se
ye biwi ke liye man-bap ko aazar karte hain


kahan khatir mein late hain ye tajir narkh-name ko
to hum in be-hison se kahe ki takrar karte hain
jo tum ne raaz ulfat ka kiya ifsha sar-e-mahfil
to hum bhi e'tiraf us ka sar-e-bazar karte hain


bhala aison ki baaton mein kahin tasir hoti hai
amal karte nahin taqrir dhuen-dar karte hain
hamein to baat karne ka saliqa tak nahin aata
kahan hum ko kamal aisa jo khush-guftar karte hain


chalo taslim karte hain ki ab tak yaad hain un ko
rawayye se magar kuchh aur wo izhaar karte hain
ye aage se jo sahab aa rahe hain in se bach niklo
ye aisa jhadte hain falsafa bezar karte hain


kabhi dushman hua karte the chhup kar war karne ko
magar 'hasrat' abhi ye kaam rishte-dar karte hain
68454 viewsghazalEnglish