ye kaisi hawa-e-gham-o-azar chali hai khud baad-e-bahaari bhi sharar-bar chali hai dekhi hi na thi jis ne shikast aaj tak apni wo chashm-e-fusun-khez bhi dil haar chali hai ab koi hadis-e-qad-o-gesu nahin sunta duniya mein wo rasm-e-rasan-o-dar chali hai takta hi nahin koi mai o jam ki jaanib kya chaal ye tu ne nigah-e-yar chali hai wo log kahan jaen jo kafir hain na din-dar phir kashmakash-e-kafir-o-din-dar chali hai baat aur bhi kuchh mai ki mazammat ke alawa ye baat to ai shaikh kai bar chali hai diwangi-e-shauq mein jo kar gae hum log meyar-e-khirad ban ke wo guftar chali hai sazish na ho kuchh dair o haram walon ki is mein sunta hun ki mai-khane mein talwar chali hai kab yaad kiya hum ko 'hafiz' ahl-e-chaman ne jab zist su-e-wadi-e-pur-khar chali hai