ye kaisi mohabbat thi ki gham tak nahin pahunche

By armaan-khanOctober 27, 2023
ye kaisi mohabbat thi ki gham tak nahin pahunche
kuchh to thi kami aakhiri dam tak nahin pahunche
ya apni du'a hi nahin pahunchi tere dar tak
ya hum hi khuda tere karam tak nahin pahunche


mahrumi-e-ulfat ki ye had hai ki khudaya
didar to phir khair sitam tak nahin pahunche
sunna hai sunaun main mohabbat ke nataej
wo wo rahe main main raha hum tak nahin pahunche


ye kis ka lahu chikh raha jang ki khatir
ye kaun hain jo ab bhi qalam tak nahin pahunche
94348 viewsghazalEnglish