ye kaj-adai ye ghamza tera kabhi phir yar!

By syed-kashif-razaNovember 22, 2020
ye kaj-adai ye ghamza tera kabhi phir yar!
ki tera shahr naya aur main musafir yar!
tu aur kuchh na sahi
dost to hai aakhir yar!


dukhi raha hai bahut aaj tera shair yar!
kahan ka lams
kahan ki hawas
kahan ka visal


tadap raha hun teri hamdami ki khatir yar!
sambhal bhi jata tha dil tere hijr mein
yani
raha hun main bhi teri aarzu ka munkir yar!


pukarti hain mujhe ghantiyan teri aise
ki jaisa tera madina ho koi mandir yar!
20354 viewsghazalEnglish