ye kartab kar dikhana chahta hun

By nazar-dwivediFebruary 27, 2024
ye kartab kar dikhana chahta hun
tujhe main bhul jaana chahta hun
bhatak jata hun aksar main inhin se
nuqush-e-pa mitana chahta hun


tujhe hasil ho khushiyon ka tabassum
main tujh se haar jaana chahta hun
main bahar hun ta'alluq se dilon ke
yaqin khud ko dilana chahta hun


suna hai zahr mein lazzat bahut hai
kisi din aazmana chahta hun
use ek roz khud dekhunga pahle
tamasha jo dikhana chahta hun


mera apna to kuchh hai hi nahin jab
to phir main kya ganwana chahta hun
bahut din se hi ye viran padi hai
haweli dil ki dhana chahta hun


32451 viewsghazalEnglish