ye kaun dastan ko dohra raha hai aaj jis ko bhula diya wahi tadpa raha hai aaj wo honge bahra-war jinhen qurbat hui nasib mera to eatibar utha ja raha hai aaj mera hi tha qusur ki dil us ko de diya us ka ghurur mujh pe sitam dha raha hai aaj mausam bahaar ka hai khizan ka khabar nahin har samt mujh ko sahra nazar aa raha hai aaj ab tak main us ke pyar ki tabaniyon mein thi har ek naqab rukh se utha ja raha hai aaj