ye KHauf bhi nikal dun sar mein nahin rakhun

By shakeel-azmiFebruary 29, 2024
ye khauf bhi nikal dun sar mein nahin rakhun
ghar ka khayal ab ke safar mein nahin rakhun
be-ab kar ke aankh ko dekhun har ek shai
manzar kahin ka bhi ho nazar mein nahin rakhun


ye gard bhi utar dun is bar jism se
bahar ki koi chiz ho ghar mein nahin rakhun
ghar-bar chhod dun ki yahi chahta hai zauq
sud-o-ziyan ki baat hunar mein nahin rakhun


aandhi bhi jae bagh mein phal todti phire
main bhi charagh rahguzar mein nahin rakhun
paimana-e-wafa ke liye sar hai jaan hai
dil ko magar kisi ke asar mein nahin rakhun


dekhun to mujh ko kaun nikalta hai dhundhne
kuchh roz aur khud ko khabar mein nahin rakhun
95474 viewsghazalEnglish