ye khayal tha kabhi khwab mein tujhe dekhte kabhi zindagi ki kitab mein tujhe dekhte mere mah tum to hijab hi mein rahe magar hamein tab thi tab-o-tab mein tujhe dekhte kabhi koi babat-e-husn hum se jo puchhta to hum ahl-e-ishq jawab mein tujhe dekhte kisi aur dhaj se banate tera mujassama kabhi hum jo ain-shabab mein tujhe dekhte kabhi dekhte tujhe tirgi ke jamal mein kabhi raushni ke sarab mein tujhe dekhte