ye KHuban shahr ke humse bahut hushyari karte hain

By farhat-ehsasFebruary 6, 2024
ye khuban shahr ke hum se bahut hushyari karte hain
hamein sada samajh kar khub khush-guftari karte hain
badi mushkil se tode hain ye ma’mulat-e-hijr aakhir
so ek 'arsa hua din mein hi shab-bedari karte hain


nahin pate dar-o-diwar mein ghar ki koi surat
to hum ghar ke tasawwur mein dar-o-diwari karte hain
kahani jo karaati hai wahi to hum ko karna hai
bhala ho ya bura ho hum to bas kirdari karte hain


hamein tayyar hone ki zarurat hi nahin padti
ki sari zindagi marne ki hi tayyari karte hain
to hum qanun-shikni ki tarah karte hain raat apni
sahar se sham tak har kaam jab sarkari karte hain


sharaben to kaliden hain lahu ke qaid-khanon ki
so tale todte hain aur dariya jari karte hain
suna hai tandurusti 'ishq mein achchhi nahin hoti
chalo ji 'farhat-ehsas' ab zara bimari karte hain


48186 viewsghazalEnglish