ye khud ko dekhte rahne ki hai jo khu mujh mein chhupa hua hai kahin wo shagufta-ru mujh mein mah o nujum ko teri jabin se nisbat dun ab is qadar bhi nahin aadat-e-ghulu mujh mein taghayyuraat-e-jahan dil pe kya asar karte hai teri ab bhi wahi shakl hu-ba-hu mujh mein rafugaron ne ajab taba-azmai ki rahi sire se na gunjaish-e-rafu mujh mein wo jis ke samne meri zaban nahin khulti usi ke sath to hoti hai guftugu mujh mein khuda kare ki use dil ka rasta mil jae bhatak rahi hai koi chap ku-ba-ku mujh mein us ek zohra-jabin ke tufail jari hai tamam zohra-jabinon ki justuju mujh mein nahin pasand mujhe sher-o-shaeri karna kabhi-kabhaar bas uthti hai ek hu mujh mein main zindagi hun mujhe is qadar na chah 'shuur' musafirana iqamat-guzin hai tu mujh mein