ye khushi gham-e-zamana ka shikar ho na jae na milo ziyaada hum se kahin pyar ho na jae jo machal rahi hai shishe mein hasin hai wo shabnam mere lab tak aate aate jo sharar ho na jae na katen akele dil se gham-e-zindagi ki rahen jo sharik-e-fikr-e-dauran gham-e-yar ho na jae na badha bahut chaman se rah-o-rasm-e-ashiyana ki mizaj-e-baghban par kahin bar ho na jae teri taza muskurahat se bhar aai aankh yani kahin ye nishan-e-manzil bhi ghubar ho na jae jo qarib hai kinara to badha hai aur tufan ki ye sakht-jaan kashti kahin par ho na jae isi tarah khun-e-dil se tu chaman ko sinchta ja ye khizan 'shamim' jab tak ki bahaar ho na jae