ye kis gham se aqidat ho gai hai gham-e-duniya se fursat ho gai hai hum apne haal par khud ro diye hain kabhi aisi bhi haalat ho gai hai agar do dil kahin bhi mil gae hain zamane ko shikayat ho gai hai kahan main aur kahan aalam-e-hasti magar jina to aadat ho gai hai zara sa gham hua aur ro diye hum badi nazuk tabiat ho gai hai khabar kya ho jahan walon ki hum ko unhen dekhe bhi muddat ho gai hai sakun milne laga 'shahzad' mujh ko tadap jaane ki surat ho gai hai