ye kis ne kah diya nakaamiyon ka gham nahin hota bahut hota hai lekin shauq-e-manzil kam nahin hota yaqinan aap ke wadon mein koi dam nahin hota magar ye bhi haqiqat hai bharosa kam nahin hota baja hai aap phir aamada hain tark-e-taghaful par magar ab mujh se arz-e-muddaa paiham nahin hota khizan ki chira-dasti se na ghabrao chaman walo jahan-e-zindagi mein ek hi mausam nahin hota tajjub se mere pairon ke chhaale dekhne walo rah-e-hasti mein farsh-e-sabza-o-shabnam nahin hota main girta hun sambhalta hun qadam aage badhata hun meri nakaamiyon mein yas ka aalam nahin hota kahan ki bandagi 'shahid' ise husn-e-talab kahiye kisi ke aastan par sar kisi ka kham nahin hota