ye kis tazad mein gum hai tere shabab ka rang

ye kis tazad mein gum hai tere shabab ka rang
kabhi karam ka muraqqa kabhi itab ka rang

zara jo dil ki tadap mein khulus paida ho
har ek rang pe chha jae iztirab ka rang

abhi to aap ka rukh tajziye ki zad mein nahin
uda uda sa hai kis waste janab ka rang

kisi ki khas tawajjoh ka dakhl hai is mein
jo lamha lamha badalne laga khitab ka rang

har ek ke samne be-parda aate jate ho
faqat hamin pe jamate ho tum itab ka rang

tulu-e-subh alamat to jazr-o-mad ki nahin
abhi se kis liye badla hai sath-e-ab ka rang

ye raushni to nahin hai kisi taghayyur ki
badal raha hai jo har lamha aaftab ka rang

ye aur baat ki qatil se baz-purs na ho
mere lahu ki gawahi bana gulab ka rang

mumasalat ka koi shaiba nahin hai 'siraj'
kahan sawal ka lahja kahan jawab ka rang


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close