ye kya kam hai ki kuchh to kaam karte ja rahe hain

By salim-saleemFebruary 28, 2024
ye kya kam hai ki kuchh to kaam karte ja rahe hain
mubarakbaad unhen jo log marte ja rahe hain
mujhe phir se pukaro tum ki in tanhaiyon mein
meri khamoshiyon ke zakhm bharte ja rahe hain


hamein tanzim ki surat mein rakhti hai koi aankh
magar hum apne khwabon mein bikharte ja rahe hain
bahut hum ko bulati hai wo khushbu jaan-lewa
so chalte ja rahe hain aur darte ja rahe hain


29572 viewsghazalEnglish