ye kya ki phul bano ek hi ke sath raho mahak ki tarh jiyo aur sabhi ke sath raho lahu pilana padega tumhein zarurat par ye hausla hai to phir raushni ke sath raho agar shu'ur na ho pyas bujh nahin sakti tamam 'umr bhale hi nadi ke sath raho ye zindagi bhi 'ajab imtihan leti hai jise mizaj na chahe usi ke sath raho