ye kya ki sare diye raat-bhar jala na karen
By salim-saleemFebruary 28, 2024
ye kya ki sare diye raat-bhar jala na karen
in aandhiyon se kaho aur kuchh bahana karen
main apne dasht ko nikla hun apni ruh ke sath
so shahr wale mera jism bhi rawana karen
mere lahu mein parinda jo par-fishan hai bahut
wo aaen aur kisi din ise nishana karen
ab aur kya karen khwabon se bhagne wale
yahi karen ki in aankhon ka samna na karen

44075 viewsghazal • English