ye lamha zist ka hai bas aakhiri hai aur main hun har ek samt se ab wapsi hai aur main hun hayat jaise thahar si gai ho ye hi nahin tamam biti hui zindagi hai aur main hun main apne jism se bahar hun aur hosh bhi hai zamin pe samne ek ajnabi hai aur main hun wo koi khwab ho chahe khayal ya sach ho faza mein udti hui chandni hai aur main hun kisi maqam pe rukne ko ji nahin karta ajib pyas ajab tishnagi hai aur main hun akela ishq hai hijr-o-visal kuchh bhi nahin bas ek aalam-e-diwangi hai aur main hun na lafz hai na sada phir bhi kya nahin wazeh kalam karti hui khamushi hai aur main hun surur-o-kaif ka aalam hadon ko chhuta hua khudi ka nashsha hai kuchh aagahi hai aur main hun muqabil apne koi hai zarur kaun hai wo bisat-e-dahr hai bazi bichhi hai aur main hun jahan na sukh ka hai ehsas aur na dukh ki kasak usi maqam pe ab shairi hai aur main hun mere wajud ko apne mein jazb karti hui nai nai si koi raushni hai aur main hun jo chand lamhon mein guzra bata diya sab kuchh phir us ke baad wahi zindagi hai aur main hun