ye mahtab ye suraj kidhar se aae hain ye kaun log hain ye kis nagar se aae hain yahi bahut hai meri ungliyan salamat hain ye dil ke zakhm to arz-e-hunar se aae hain bahut se dard mudawa-talab the pahle bhi ab aur zakhm mere chaaragar se aae hain gira diya hai jise aandhiyon ke zor ne kal ye khush-nawa usi budhe shajar se aae hain ruke nahin hain kahin qafile tamanna ke faraaz-e-dar ye lambe safar se aae hain hum apne-ap ko kuchh ajnabi se lagte hain ki jab se laut kar us ke nagar se aae hain har ek khat mein nagine jade hain main ne 'khayal' bahut se lafz meri chashm-e-tar se aae hain