ye mere ghar ke tin chaar daraKHt
By ikram-arfiFebruary 6, 2024
ye mere ghar ke tin chaar darakht
hain disawar ke tin chaar darakht
phir hawa shakh shakh se lipti
aashna kar ke tin chaar darakht
jaise kaghaz ki ek do kaliyan
jaise patthar ke tin chaar darakht
dasht darpesh hai so chalta hun
aankh mein bhar ke tin chaar darakht
shah ne bagh mein ugae hain
sang-e-marmar ke tin chaar darakht
dasht-e-dil is qadar phala-phula
dekhe mar mar ke tin chaar darakht
aakhiri waqt bas hawaen thin
aur sanobar ke tin chaar darakht
hain disawar ke tin chaar darakht
phir hawa shakh shakh se lipti
aashna kar ke tin chaar darakht
jaise kaghaz ki ek do kaliyan
jaise patthar ke tin chaar darakht
dasht darpesh hai so chalta hun
aankh mein bhar ke tin chaar darakht
shah ne bagh mein ugae hain
sang-e-marmar ke tin chaar darakht
dasht-e-dil is qadar phala-phula
dekhe mar mar ke tin chaar darakht
aakhiri waqt bas hawaen thin
aur sanobar ke tin chaar darakht
70854 viewsghazal • English