ye meri ghazal ka mizaj hai kabhi aag hai kabhi phul hai kabhi qahqahon ka hai qafila kabhi aansuon se malul hai jo de pyar tu use pyar de jo de dard us ko muaf kar yahi zindagi ka hai qaeda yahi dosti ka usul hai yahan sab hai tera diya hua mera jam bhi meri pyas bhi tere hath se jo mile agar mujhe tishnagi bhi qubul hai tu chala gaya mujhe chhod kar mujhe bhulne ki umid mein mujhe bhul paega tu kabhi tera sochna teri bhul hai ye tamaddunon ke charagh sa ye watan mera kisi bagh sa jise chhu ke ruh mahak uthi mere hind wo teri dhul hai