ye misra kash naqsh-e-har-dar-o-diwar ho jae jise jina ho marne ke liye tayyar ho jae wahi mai-khwar hai jo is tarah mai-khwar ho jae ki shisha tod de aur be-piye sarshaar ho jae dil-e-insan agar shaista-e-asrar ho jae lab-e-khamosh-fitrat hi lab-e-guftar ho jae har ek be-kar si hasti ba-ru-e-kar ho jae junun ki ruh-e-khwabida agar bedar ho jae suna hai hashr mein har aankh use be-parda dekhegi mujhe dar hai na tauhin-e-jamal-e-yar ho jae harim-e-naz mein us ki rasai ho to kyunkar ho ki jo aasuda zer-e-saya-e-diwar ho jae maaz-allah us ki wardat-e-gham maaz-allah chaman jis ka watan ho aur chaman-be-zar ho jae yahi hai zindagi to zindagi se khud-kushi achchhi ki insan aalam-e-insaniyat par bar ho jae ek aisi shan paida kar ki baatil tharthara utthe nazar talwar ban jae nafas jhankar ho jae ye roz o shab ye subh o sham ye basti ye virana sabhi bedar hain insan agar bedar ho jae