ye mohabbat ka jo ambar pada hai mujh mein is liye hai ki mera yar pada hai mujh mein chhint ek ud ke meri aankh mein aai to khula ek dariya abhi tah-dar pada hai mujh mein meri peshani pe us bal ki jagah hai hi nahin sabr ke sath jo hamwar pada hai mujh mein har talluq ko mohabbat se nibha leta hai dil hai ya koi adakar pada hai mujh mein mera daman bhi koi dast-e-hawas khinchta hai ek mera bhi kharidar pada hai mujh mein kis ne aabaad kiya hai meri virani ko ishq ne? ishq to bimar pada hai mujh mein mere uksane pe main ne mujhe barbaad kiya main nahin mera gunahgar pada hai mujh mein mashwara lene ki naubat hi nahin aa pati ek se ek samajhdar pada hai mujh mein ai barabar se guzarte hue dukh tham to sahi tujh pe rone ko aza-dar pada hai mujh mein mera hona mere hone ki gawahi to nahin mere aage mera inkar pada hai mujh mein bhuk aisi hai ki main khud ko bhi kha sakta hun kaisa ye qaht lagatar pada hai mujh mein