ye musht-e-khak apne ko jahan chahe tahan le ja par is 'alam ko is 'alam se mat bar-e-garan le ja 'adam se jis tarah tanha chala aaya tha phir wan ko munasib hai isi surat se surat chhod jaan le ja kudurat ma-siwa ki dho le khatir-khwah khatir se ba-juz nam-e-khuda hamrah mat nam-o-nishan le ja aziz-o-aqriba ne mal-o-milkiyyat ba-kar aawe kisi ki dosti ki ai dila hasrat na wan le ja gadai baadshahi bhi masawi waqt marne ke tayaqqun kar sukhan meri par hargiz mat guman le ja isi duniya mein duniya se kinara kar jo 'aqil hai mohabbat phir kisi shai ki na sath ai mehrban le ja na koi le gaya kuchh aur na le jawe koi hargiz yaqin gor-o-kafan milne pe kya tashkik han le ja gai bagh-e-jahan se khalq khali hath le par tu bahaar-e-zindagi se zikr ka gul be-khizan le ja bakheda yan ka yan par chhod 'afridi' 'adam aakhir na ye dard-o-bala ranj-o-alam aah-o-fughan le ja