ye nang-e-ashiqi hai sud o hasil dekhne wale yahan gumrah kahlate hain manzil dekhne wale khat-e-saghar mein raaz-e-haq-o-baatil dekhne wale abhi kuchh log hain saqi ki mahfil dekhne wale maze aa aa gae hain ishwa-ha-e-husn-e-rangin ke tadapte hain abhi tak raqs-e-bismil dekhne wale yahan to umr guzri hai isi mauj o talatum mein wo koi aur honge sair-e-hasil dekhne wale mere naghmon se sahba-e-kuhan bhi ho gai pani tajjub kar rahe hain rang-e-mahfil dekhne wale junun-e-ishq mein hasti aalam par nazar kaisi rukh-e-laila ko kya dekhenge mahmil dekhne wale