ye nashsha-e-agahi khatarnak hai sar mein tute hain mere panw isi rahguzar mein rim-jhim ke aqab-zar mein baran hai abhi aag achchha hai na dekhe wo mere dida-e-tar mein sarmaya-e-jaan yun na utha sare hijabaat tu aankh ke pardon ki badaulat hai nazar mein aansu tha wo nikla to gaya tod ke har band khushbu tha ki ghar chhod ke bhi rahta hai ghar mein us bargah-e-naz se hum se fuqara ko khairaat to milti hai wale kasa-e-sar mein rahti hain mere sath wo aagah nigahen kuchh farq na tha warna mere aib-o-hunar mein