ye numaish ye tamashe nahin achchhe lagte

By mujeeb-shehzarJanuary 21, 2022
ye numaish ye tamashe nahin achchhe lagte
hon masail to nazare nahin achchhe lagte
surkh lab surmai aankhen ye sanwarna sajna
muflisi mein ye dikhawe nahin achchhe lagte


tu mujhe bhuk bhi sah lene ka aadi kar de
ab mahajan ke taqaze nahin achchhe lagte
meri ghurbat ne mujhe bakhsha andheron ka mizaj
warna kis ko ye ujale nahin achchhe lagte


ye to sach hai ki wo ikhlas se milta hai bahut
phir bhi kuchh us ke irade nahin achchhe lagte
rut badalte hi har ek zehn badal jata hai
dhup ko rokte sae nahin achchhe lagte


yahi behtar hai kaman nasl-e-jawan ko de do
budhe hathon se nishane nahin achchhe lagte
meri sadiyon ka bharam tut chuka hai 'shahzar'
ab ye hanste hue lamhe nahin achchhe lagte


87600 viewsghazalEnglish