ye raaz kis se bataun ye baat kis se kahun hadis-e-shauq ka unwan hai ek harf-e-junun ghubar-e-rah ko manzil ka nam dun kaise khizan ko subh-e-bahaaran main kis tarah samjhun jab eatibar nahin khud nigah par apni main kam-nigahi-e-saqi ka zikr kaise karun tamam umr isi intizar mein guzri main un se harf-e-tamanna abhi kahun na kahun ada ada mein kisi ki payam-o-shauq-o-talab nazar nazar mein kisi ki fasana-o-afsun na ham-jalis hi rahbar na ham-qadam rahi main kis ko khizr kahun kis ko raazdan samjhun chaman ko lut rahe hain chaman ke rakhwale koi batae main saz-e-bahaar kya chhedun