ye rang tere shahr ke sahra mein kahan hain galiyan hain na kuche hain makin hain na makan hain aankhon mein chhupa rakkhe hain ashkon ke khazine hum gham ki inayat se mahrum kahan hain jhalkenge kisi roz yahi lafz-o-bayan mein aaina-e-ehsas mein jo aks nihan hain rakhte hain jo mukhtari-e-insan ki tamanna majburi-e-insan pe abhi ashk-fishan hain aankhon mein koi mauj-e-shafaq-rang nahin kyon dil mein to abhi khun ke dariya se rawan hain takhliq-e-musawwir ko zara ghaur se dekho rangon ke tanasub mein kai rang nihan hain kya kaam hamein mal-o-zar-o-sim se 'shahid' hum ahl-e-sukhan ahl-e-qalam ahl-e-zaban hain