ye sanam bhi ghaTor kitne hain

By shad-lakhnaviNovember 18, 2020
ye sanam bhi ghator kitne hain
but bane sun rahe hain jitne hain
subh-e-piri hai ghafilan-e-jahan
khwab-e-khargosh mein hain jitne hain


mauj-dar-mauj hai tabahi mein
dam-ba-khud hain habab jitne hain
bu-e-gul ho ki nikhat-e-gul ho
khana-barbaad hain ye jitne hain


turfa qatil hai jis ke morid-e-malkh
be-chhuri hain halal jitne hain
khush-nawa ye hai nala-e-bulbul
hama-tan-gosh gul hain jitne hain


ai sanam tu wo hai nai-o-naqus
dam tera bhar rahe hain jitne hain
har rawish-e-bagh-e-dahr mein gul-e-tar
dida-e-mutazir hain jitne hain


ek main kya hun mahw-e-surat-e-saf
hairati aaine hain jitne hain
kul ghazal ek qafiya ai 'shad'
sher mayub hain ye jitne hain


69142 viewsghazalEnglish