ye saqi ki karamat hai ki faiz-e-mai-parasti hai ghata ke bhes mein mai-khane par rahmat barasti hai ye jo kuchh dekhte hain hum fareb-e-khwab-e-hasti hai takhayyul ke karishme hain bulandi hai na pasti hai wahan hain hum jahan 'bedam' na virana na basti hai na pabandi na aazadi na hushyari na masti hai teri nazron pe chadhna aur tere dil se utar jaana mohabbat mein bulandi jis ko kahte hain wo pasti hai wahi hum the kabhi jo raat din phulon mein tulte the wahi hum hain ki turbat chaar phulon ko tarasti hai karishme hain ki naqqash-e-azal nairangiyan teri jahan mein mail-e-rang-e-fana har naqsh-e-hasti hai ise bhi nawak-e-jaanan tu apne sath leta ja ki meri aarzu dil se nikalne ko tarasti hai har ek zarre mein hai inni-anallah ki sada saqi ajab mai-kash the jin ki khak mein bhi josh-e-masti hai khuda rakkhe dil-e-pur-soz teri shola-afshani ki tu wo shama hai jo raunaq-e-darbar-e-hasti hai mere dil ke siwa tu ne bhi dekhi bekasi meri ki aabaadi na ho jis mein koi aisi bhi basti hai hijabaat-e-tayyun mane-e-didar samjha tha jo dekha to naqab-e-ru-e-jaanan meri hasti hai ajab duniya-e-hairat aalam-e-gor-e-ghariban hai ki virane ka virana hai aur basti ki basti hai kahin hai abd ki dhun aur kahin shor-e-anal-haq hai kahin ikhfa-e-masti hai kahin izhaar-e-masti hai banaya rashk-e-mahr-o-mah teri zarra-nawazi ne nahin to kya hai 'bedam' aur kya 'bedam' ki hasti hai