ye sarabon ki shararat bhi na ho to kya ho aankh mein hairat o wahshat bhi na ho to kya ho hum ki us hijr ke sahra mein pade hain kab se khema-e-khwab-e-rafaqat bhi na ho to kya ho shukr kar hujra-e-tanhai mein baithe hue shakhs khud se milne ki ye mohlat bhi na ho to kya ho main wo mahrum-e-zamana ki kabhi sochta hun sans lene ki suhulat bhi na ho to kya ho sochta hun main sar-e-dasht udata hua dhul teri yaadon ki inayat bhi na ho to kya ho