ye shab unhin zulfon ki karamat lage hai
By kaleem-aajizJanuary 3, 2024
ye shab unhin zulfon ki karamat lage hai
sunte the ghazal mein ye wahi raat lage hai
patthar ki tarah teri har ek baat lage hai
dil tod ke naseh tujhe kya hat lage hai
jina hi mohabbat mein karamat lage hai
ji le hai jo marna to use baat lage hai
hum ne jo diya hai wo hamein jaan rahe hain
sarmaya-e-gham muft kahan hat lage hai
aaram kahan ahl-e-wafa ko kisi karwat
ek aag hai sine mein jo din-raat lage hai
auron se mohabbat bhi ta'alluq bhi wafa bhi
hum se to kabhi ki na mulaqat lage hai

92408 viewsghazal • English