ye shahr apne harifon se haara thoDi hai
By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
ye shahr apne harifon se haara thodi hai
ye baat sab pe magar aashkara thodi hai
tera firaq to rizq-e-halal hai mujh ko
ye phal parae shajar se utara thodi hai
jo 'ishq karta hai chalti hawa se ladta hai
ye jhagda sirf hamara tumhaara thodi hai
dar-e-nigah pe us ke jo hum ne 'umr ganwai
ye faeda hai meri jaan khasara thodi hai
ye log tujh se hamein dur kar rahe hain magar
tere baghair hamara guzara thodi hai
'jamal' aaj to jaane ki mat karo jaldi
ki phir nasib ye sohbat dubara thodi hai

13117 viewsghazal • English